Friday 21 June 2019

Shayari nite (originals)

Hamein qaafir bhi kehte hain,
Apno ne apna nahi banaya,
Aur gairon ne paraya kar diya, 
Jo bhi hain ab bas apne hi hain!!

Anginat baar toota hai dil,
Ek tarfa pyaar ki keemat di hai, 
Par phir bhi, jab bhi pyaar hota hai, toota dil hi milta hai!

Shayari hum inn jaise toh nai karte, 
Par jab bhi lafz nikle dil se nikle,
Kuchh duayein bhi nikli, kuchh haseen pal bhi yaad aye!

Proposal mujhe aaj tak nai aya,
Propose hamne kiye, reject bhi huye,
Par kambakhat logon ko dekho,
Ro rahe hai proposal aane par!

Shayarana mood tumne banaya hai aaj,
Ab na roko mujhe,
Na rukenge, na thamenge mere lafz aaj,

Zalzala iss tarah aya hai jab hamne kisise dil ki baat keh di, 
Woh lamhe jab hum unse mile the,
Woh nazrein jis tarah mili, 
Woh chupkar palkon ke neeche se jab usey dekha
aur mud gaye, 
Bas inhi palon ki khaatir jee rahe hain ab!

Achha toh likhte ho,
Hunar ye sabke paas nahi,
Sambhalon unn lafzon ko, 
Jin lafzon ne banaya tumhe hai

Dil jalon ka dil aur nahi toot sakta,
Jitna tootna ta, toot gaya,
Sirf itna karna ki wahan itni sharaab ho,
Ki mohabbat ko mohabbat bhi na yaad aaye!

Kya ye mehez ek ittefaq hai ki hum ab tak nahi mile
Ya phir kisiki hai saazish hamein alag rakhne ki!

Uljhano ko suljhane wala mil gaya hota toh baat hi kya thi,
Mehez ek aaine mein apne aap ko dekh lijiye,
Uljhane khud ba khud sulajh jayegi!

Jo baat zubaan par aati hai, 
woh zaruri nahi ki boli jaaye,

Mehsoos bhi ho toh kaafi hai

Dil mein teer sa chubha, jab usne ilzaam lagaye, 
Kuchh aise laga jaise ki dil tham sa gaya, dhadkan ruk si gayi aur dil baith hi gaya.
Aisa hai haal-e-dil ki na saans liya jaata hai, 
na aahein nikalti hai dil se
Bas ek chuppi bhari hai dil mein

Aas paas ka shor maano zor se ye keh raha ho ki: 
Tere dil pe nishaan toh hoga 
par yeh shor hi tera malham banega!

Jo dikhta hai woh zaruri nahi ki sachh ho, 
ek parda bhi ho sakta hai jiske peeche sachhai chipi ho!

Jo uljhan na suljhe, usey ansuljha hi chod do, 
Nahi toh suljhane ke chakkar mein kahin tumhe hi uljha na dein!

Kabhi kabhi ek ajnabi apne se bhi zyada ban jaata hai 
Aur kabhi kabhi ek apna ajnabi ban jaata hai!

Aaj laga ki hum bhi kuchh hain, 
hamara bhi koi wajood hai,
Ehsaas hua ki hum adhoore nahi,
Aur pehchaan hamari sirf ek muskurahat nahi...

Sawaalon ka kaafila aa raha tha door se, 
They iss intezaar mein ki woh kab hamein gher le 
aur kab hum jawaab de,
Par jab woh guzar gaya bagal se, 
bina hamein dekhe ya chuye, 
dil mein teer sa chubha 
aur phir se sannata chhaa gaya!