Showing posts with label memories. Show all posts
Showing posts with label memories. Show all posts

Monday, 12 April 2021

Chai aur Yaadein

Aaj phir tum mujhe yaad aaye,
Tumhari hasi,
Wo haathon mein haath lena,
Wo kandhon pe haath rakhna,
Wo sab yaad aaya aaj!

Tumhara wo daantna,
Naraaz hona, 
Hanskar fir se gale lagana,
Wo sab yaad aaya aaj!

Baadalon ka garajna,
Baarish ho rahi hai, aao chai piye, kehkar bulana,
Tapri par geele hokar garam chai peena,
Aaj phir tum mujhe yaad aaye!

Mausam badle, rituen badli,
Tum nahi badle,
Wahi muskurahat wahi chai,
wahi tapri aur Tum!!

Tuesday, 5 May 2020

Lockdown Diaries: Kuchh band kisse

Din jaise jaise nikale,
Waise ek bandi hone ka ehsaas hua
Chaaron taraf band khidkiyaan, 
sunsaan raaste
Hawayein chal rahi thi, patte bhi gire pedon se,
Maidaano mein char rahe kuch jaanwar,
Chidiyan chehek rahe the,
Motor gaadiyon ki shor mein ghul gaye the,
Aaj sabhi jeev zinda ho gaye, 

Band darwaaze halke se khule,
Kuchh chehre kabhi jhankte huye bahar
Kahin ankhon mein aas thi, kuch mein bebasi,
Kuchh mein khushiyan bhi thi shaamil,
Khushiyan jaise garmi ki chuttiyan aa gayi
Ghar mein khel kood, FM par gaane bajana,
TV par Mahabharat aur Ramayan ka laut aana,
Wahi chutkule, wahi kehkahe, wahi masti ki leher 
Bachpan ke din laut aaye!