Monday 5 October 2020

Zindagi


Jitni asaan lagti hai tu, ae-zindagi,

Utni hi uljhi hui si hai tu||

Jab bhi aankhein band karti hoon,

Tujhe muskurata hua dekhti hoon ||

Saari mushkilein aasaan lagti hain,

Gham kahin gum ho jaata hai||

Pal mein roothe bhi tu, pal mein mana bhi le,  

Aisi hai tu||🤗

Ae zindagi, tu kabhi saath na chodna mera!!


Monday 14 September 2020

Lockdown Diaries: Kuchh aur naye band kisse


Chaaron taraf band khidkiyaan, sunsaan raaste,
Hawayein chal rahi thi, patte bhi gire pedon se,
Maidaano mein char rahe kuch jaanwar,
Chidiyan chehek rahe the.

Jo awaazein kabhi motor ki shor mein ghul gaye the,
aaj sabhi zinda huye.
Band gharon mein jaan aayi,
Bachchon ki shorgul, cooker ki seetiyan,
Kahin thahakon ki awaaz goonji.
Chai ke pyaale, puraane gupshup aur naashte ki mehek har jagah chhayi.

Khidkiyon se jhaankte huye kuchh chehre, 
Ankhon mein aas lagaye baithe, 
Kab ye virus chala jaaye, kab hum azaad panchhi ho
Bebasi ki leher mein ummeed bhi thi shaamil.

Bachhon ki khushiyan jaise garmi ki chuttiyan aa gayi,
Ghar mein khel kood, FM par gaane,
TV par Mahabharat aur Ramayan ka laut aana,
Wahi chutkule, wahi kehkahe, wahi masti ki leher 
Wah! Bachpan ke din laut aaye!

Par iss baar chuttiyan lambi lagti hain,
Mann mein khushi bhi, asmanjas bhi,
Ghar mein surakshit raho, virus se bachke raho: yahi naara hai desh ka!

Khushiyan fir se laut aayengi, ummeed hai ye waqt bhi chala jayega,
Aur hum kuchh naye band kisse aur likh paaye!

Saturday 25 July 2020

Ishq-e-baarish

Mann bheegna chaahe, 
Mann bhaagna chaahe,
Iss baarish mein uske saath naachna chaahe,
Mann toh bachha hai,
khelna chaahe,
Aaj bas baras jaa tu, baadal,
Bas ishq karna chaahe!

Sunday 28 June 2020

Aks

Khwaabon mein tum aaye aaj bhi,
Khush misaaj lag rahe the tum,

Yunhi muskurakar tumne kaha mujhse: 

Aaj bhi tum mere dil mein ho!
Mudkar dekha toh aaina tha,

Aks ko dekhkar muskurakar maine bhi kaha:
Mohabbat toh aaj bhi hai tumse! 

Monday 15 June 2020

Afsaana

Afsaana thi ya koi bala,
Ishq ho gaya hamein usse,
Chahat ban gayi thi woh.

Khoobsoorat the nain-naksh,
Dil par chhap gayi thi woh

Bas ek khata hui dil-e-nadaan se,
Aur ishq na kar saki woh

Chehra



बरामदे में खड़ी थी,
ना जाने किन ख्यालों में थी वो.

चाय की प्याली अंछुई,
तश्तरी में बिस्कुट सजी हुई,
दूर नजरें कुछ ढूंढ रही थी.

यादों की बौछार हुई!

उसका चेहरा आँखों में आया।
हल्की सी मुस्कुराहट आई,
ज़ुबान पर नाम आ गया उसका।

और फिर उसके ख्यालों में डूब गयी! 

I am me

I am me and nothing can change me,
This is the best version of me, 
Nothing can change that!

The radiance and glow may scorch some, it may warm some,
But this is me!

My words may hit some, warm others,
But my love is undying and unconditional,
That's me - whole, soul, pure!

My choices may be bizarre, but they are mine.
My feelings are also mine, failures too!

But that's just me!

Tuesday 5 May 2020

Lockdown Diaries: Kuchh band kisse

Din jaise jaise nikale,
Waise ek bandi hone ka ehsaas hua
Chaaron taraf band khidkiyaan, 
sunsaan raaste
Hawayein chal rahi thi, patte bhi gire pedon se,
Maidaano mein char rahe kuch jaanwar,
Chidiyan chehek rahe the,
Motor gaadiyon ki shor mein ghul gaye the,
Aaj sabhi jeev zinda ho gaye, 

Band darwaaze halke se khule,
Kuchh chehre kabhi jhankte huye bahar
Kahin ankhon mein aas thi, kuch mein bebasi,
Kuchh mein khushiyan bhi thi shaamil,
Khushiyan jaise garmi ki chuttiyan aa gayi
Ghar mein khel kood, FM par gaane bajana,
TV par Mahabharat aur Ramayan ka laut aana,
Wahi chutkule, wahi kehkahe, wahi masti ki leher 
Bachpan ke din laut aaye!

Jalta chirag


A tribute to Irrfan Khan
 

Lau tez thi, thodi maddhham hui,
Ek tez hawa aayi
Aur ek aur deepak bujh gaya

Roshan hota parda jab bhi woh aata,
Uski muskurahat se diye jalte,
Uski hasi se hazaaron khush hote,
Aaj ek aur deepak bujh gaya

Adakaari pe fida thi duniya, 
Pehchaan thi uske lafz, uski awaaz
Bareek shareer aur amli soch thi uski,
Aaj phir ek deepak bujh gaya!

Saturday 25 April 2020

Ishq ki Raah

Ishq ke anjaam se dara nai jaata,
Dil ki raahein hoti pathreeli,
Kuchh kaantein, kuchh kashmakash bikhri hongi.

Raah mein ek raahgir hoga, 
Mohabbat se saja gulistan bhi hoga
Haathon ko thaam lena, ae saathi,
Par darna nahi!

Kashmakash

Kisse kuchh puraane they,
Yaadein bhi puraani,
Kuchh meethi, kuchh dard-e-dil

Waqt aa gaya tha unhe mitaane ka!

Dil ne kaha: sanjoke rakh
Dimaag ne kaha: Fenk do
Dil aur dimaag ki ladaai hui
Aur fir se wahi kashmakash mein doobi woh

Kashmakash ki raah par woh chal rahi thi,
Bebas aur lachaar thi,
Zindagi ne fir do darwaaze dikhaye,
Iss baar dil jeeta, dimaag haar gaya!

Monday 23 March 2020

Deewana

Gar koi hasaaye tumhe,
Gar koi rulaaye tumhe,
Sambhal jao, dil thaam lo,
Yahi wo deewana hai jiski talaash thi tumhe...
Dil ki kashmakash 
ko mita kar,
Haath thaam lo deewane ka!

Rishton mein tanhai

Har pal ik tanhai sa,
Har pal thama sa, 
ruka sa

Har woh pal andhere sa,
Har woh pal ruaansa...
Har baar girne ka, chot khaane ka dar.

Kya rishte aise hain?

Har pal dar lage muskarane se,
Kahin agle pal gam ki barsaat na ho

Chup raho, mat chillao, dar kar jiyo,
Kya rishte aise hote hain?

Ghutte raho,
Logon se milne se katrao,
Aansu ponchkar muskurahat ka parda banao


Kya yahi pyaar hai?

Mohabbat aitbaar hai,
Aitbaar mein dhokhe nahi hote...


Phir yeh kaisa ishq hai jo pal mein roothe

Aur pal mein dam tod le?

Sunday 8 March 2020

I am me


I am me and nothing can change me,
This is the best version of me, 
Nothing can change that!

The radiance and glow may scorch some, 
it may warm some,
But this is me!

My words may hit some, warm others,
But my love is undying and unconditional,
That's me - whole, soul, pure!

My choices maybe bizarre, but they are mine.
My feelings are also mine, failures too!
But that's just me!

Wednesday 19 February 2020

Ishq ke nazm...

hum-jab-bhi-unke-baare-mein-sochte-dil-khush-ho-jaata-hum-ki

Pyaar ki gehrai

aaj-dil-ki-gehraiyon-mein-unhe-mehsoos-kiya-dhadkano-ne-koi

Woh aakhri mulaaqat....

kal-aakhri-mulaqat-hai-yaad-ayega-woh-har-lamha-har-woh-pal

Hope sounds like...

tinkling-bells-temple-sweet-melody-flowing-brook-mountains

Basant ka swaagat

thand-ke-baad-wo-pehli-kiran-woh-sard-hawayein-woh-bheeni-si

Toote dil ki dastaan....

anjaan-thi-jab-tumhe-dil-diya-kya-pata-tha-ki-tum-hi-dil-tod

Pyaar mein anjaan

anjaan-bane-jo-firte-hain-woh-sabse-pehle-dil-todte-hain-e

We live in a world...

beautiful-surreal-our-planet-gifted-humans-too-let-s-our-our

Promises are meant to be broken...

promises-meant-kept-not-enforced-those-who-keep-their-must

It's home finally!

this-my-home-your-embrace-makes-me-feel-like-i-myself

You're never too old to...

meet-stranger-fall-love-choose-new-passion-path-not-taken

Love is what happens when...

when-two-souls-meet-telepathy-happens-you-complete-each-s

Dil ki Baatein

chodo-ye-dil-ki-baatein-hum-isse-door-hi-achhe-dil-waise-bhi

Wednesday 8 January 2020

Khwaab





Ek waqt tha jab main tumhara naam chahti thi,
Ek waqt tha jab main tumhari hona chahti thi,
Ek waqt tha jab main bahot kuchh chahti thi,
Meri kuchh khwahishein thi, sapne the,
Kuchh banne ka khwaab tha,
Bas woh bahot kuchh kahin ghum ho gaya,
Yahi sochti reh gayi ki kahan kho gaya,

Jab kaanch tootta hai toh har jagah awaaz goonjti hai,
Par jab khwaab aur dil tootte hain, toh sirf rooh ko pata lagta hain

Khwaab, dil aur rooh barbaad huye,
Bura waqt saaye ki tarah mandraata raha,
Sabne kaha ki bura waqt dhal jaayega,
Par ye nahi kaha ki yahi waqt muskurahat bhi cheen legi. 

Tumne kaha tha ki tum meri kismat badal doge,
Par iss tarah se, ye nahi maloom tha!