Tuesday 5 May 2020

Lockdown Diaries: Kuchh band kisse

Din jaise jaise nikale,
Waise ek bandi hone ka ehsaas hua
Chaaron taraf band khidkiyaan, 
sunsaan raaste
Hawayein chal rahi thi, patte bhi gire pedon se,
Maidaano mein char rahe kuch jaanwar,
Chidiyan chehek rahe the,
Motor gaadiyon ki shor mein ghul gaye the,
Aaj sabhi jeev zinda ho gaye, 

Band darwaaze halke se khule,
Kuchh chehre kabhi jhankte huye bahar
Kahin ankhon mein aas thi, kuch mein bebasi,
Kuchh mein khushiyan bhi thi shaamil,
Khushiyan jaise garmi ki chuttiyan aa gayi
Ghar mein khel kood, FM par gaane bajana,
TV par Mahabharat aur Ramayan ka laut aana,
Wahi chutkule, wahi kehkahe, wahi masti ki leher 
Bachpan ke din laut aaye!

Jalta chirag


A tribute to Irrfan Khan
 

Lau tez thi, thodi maddhham hui,
Ek tez hawa aayi
Aur ek aur deepak bujh gaya

Roshan hota parda jab bhi woh aata,
Uski muskurahat se diye jalte,
Uski hasi se hazaaron khush hote,
Aaj ek aur deepak bujh gaya

Adakaari pe fida thi duniya, 
Pehchaan thi uske lafz, uski awaaz
Bareek shareer aur amli soch thi uski,
Aaj phir ek deepak bujh gaya!