Monday, 14 September 2020

Lockdown Diaries: Kuchh aur naye band kisse


Chaaron taraf band khidkiyaan, sunsaan raaste,
Hawayein chal rahi thi, patte bhi gire pedon se,
Maidaano mein char rahe kuch jaanwar,
Chidiyan chehek rahe the.

Jo awaazein kabhi motor ki shor mein ghul gaye the,
aaj sabhi zinda huye.
Band gharon mein jaan aayi,
Bachchon ki shorgul, cooker ki seetiyan,
Kahin thahakon ki awaaz goonji.
Chai ke pyaale, puraane gupshup aur naashte ki mehek har jagah chhayi.

Khidkiyon se jhaankte huye kuchh chehre, 
Ankhon mein aas lagaye baithe, 
Kab ye virus chala jaaye, kab hum azaad panchhi ho
Bebasi ki leher mein ummeed bhi thi shaamil.

Bachhon ki khushiyan jaise garmi ki chuttiyan aa gayi,
Ghar mein khel kood, FM par gaane,
TV par Mahabharat aur Ramayan ka laut aana,
Wahi chutkule, wahi kehkahe, wahi masti ki leher 
Wah! Bachpan ke din laut aaye!

Par iss baar chuttiyan lambi lagti hain,
Mann mein khushi bhi, asmanjas bhi,
Ghar mein surakshit raho, virus se bachke raho: yahi naara hai desh ka!

Khushiyan fir se laut aayengi, ummeed hai ye waqt bhi chala jayega,
Aur hum kuchh naye band kisse aur likh paaye!