Showing posts with label hurt. Show all posts
Showing posts with label hurt. Show all posts

Wednesday, 8 January 2020

Khwaab





Ek waqt tha jab main tumhara naam chahti thi,
Ek waqt tha jab main tumhari hona chahti thi,
Ek waqt tha jab main bahot kuchh chahti thi,
Meri kuchh khwahishein thi, sapne the,
Kuchh banne ka khwaab tha,
Bas woh bahot kuchh kahin ghum ho gaya,
Yahi sochti reh gayi ki kahan kho gaya,

Jab kaanch tootta hai toh har jagah awaaz goonjti hai,
Par jab khwaab aur dil tootte hain, toh sirf rooh ko pata lagta hain

Khwaab, dil aur rooh barbaad huye,
Bura waqt saaye ki tarah mandraata raha,
Sabne kaha ki bura waqt dhal jaayega,
Par ye nahi kaha ki yahi waqt muskurahat bhi cheen legi. 

Tumne kaha tha ki tum meri kismat badal doge,
Par iss tarah se, ye nahi maloom tha!

Friday, 30 August 2019

Zakhm

Toote dil jud sakte hain, 
Par zakhm phir bhi rahenge,

Zakhm bhar bhi jaaye, 
Par daraar phir bhi rahenge,

Daraar judte nahi 
Aur nishaan chod jaate hain.

Iss qadr nishaan rehte hain ki 
Toote dil aur unn zakhmon ka malham, 
kahi nahi milta.

- TPR