Friday 25 October 2019

Ansuni aahein!





Halki si roshni aati uss khidki sey,
Roz khidki ke paas baithkar chillati, awaaz deti,

Par uski pukaar kisi ne na suni,
Woh roti rahi, kehti gayi,
Mujhe yahan se bahaar nikalo, azaad karo 

Jab bhi baahar dekha, log toh they
Par koi nahi tha jo iski pukaar sunta
Kai baar socha ki woh apne aap ko maar degi 
Par nahi kar paayi…

Uski ek nanhi si jaan thi!
Usi ke liye toh jee rahi thi.
Jab bhi udaas hoti, woh apne bachhe ki taraf dekhti
Kuchh der roti, aur phir muskura deti.
Uski kilkariyon ko sun woh phooli nahi samaati!

Raat se usey behadh pyaar tha
Andhere mein sab ojhal ho jaata – aansu bhi
Woh iss tarah intezaar karti andhere ka jaise kisi premi ka !

Jaise hi raat hui, uski palkon se aansu chalakte,
Pehle toh chota sa jharna behta, phir baadh si aa jaati
Aur jab baadh ruk gayi toh, ek sannata chhaa jaata
Sannata itna zyada ki zor-zor se maano yeh keh raha ho
Azaad karo iss panchhi ko, panchhi tilmila raha hai!

Panchiyon ke chehakne ki awaaz toh aati usey,
Lekin band kamron aur khidkiyon ko woh khol na paati.
Chonch se panchhi ne khidki ko todne ki koshish toh ki,
Par nakamyaab hui, nirash hui 

Ek din ek panchhi aayi
Usne kaha, ruko, main tumhari madad karti hoon
Yeh keh kar chali gayi
Ab panchhi ko aas lagi, ummeed bandhi,
Intezaar kiya us panchhi ka,
Kab woh azaad hogi…
Sapne dekhne lagi
Ek pal woh sapne dekhti, par agle hi pal darr ke maare nidra se uth bhi jaati
ki sapna toot na jaaye!

Woh panchhi kabhi aayi hi nahi.
Ik aas lagi thi ki woh kabhi na kabhi aayegi

Kuchh dino baad, woh aas bhi tooti,
Aansu bhi laut aaye, phir wahi andhera chha gaya
Usne apne pankh fadfadana band kar diya

Ek lambi saans li aura ankh band kar diya,
Bas maut ka intezaar tha usey!

- TPR