P.S.: After ages, a song managed to touch me so much!
Teri baaton ne dil toda
tune dekha aur munh moda
badal garja thoda-thoda
teri baaton ney dil toda
tuney dekha aur munh moda
badal garja thoda-thoda
pani barsa
ye dil tarsa
par jab beeta thoda arsa
maine rona chod diya
guzre they jinsey raaste
wohi anjaanein ban gain
karni thi jisse baat ankahi
shayad chup hi hai sahi
hulchul mein hai sagar sabhi
Sakin hai kuch jumbish nahi
yonhi hai guzray hai zindagi
jeetay koi koi
ab tou main bus aik bhawar hoon
gardish main hoon rahguzar hoon
tufaan hoon main tera dar hoon
chal apni hai kal ki khoyi
himmat hai toh rokay koi
mainey rona chod dia
Girtay patton nay
aas hai bhari
kal na aayegi kabhi
bandho dhaaras ab
waqt hai yehi
kar guzro sub kuch abi
gardish main hai mausam sabhi
thehray nahi rokay nahi
rasm-e-duniya hai toh yehi
pahunchay koi koi
teri baaton ney dil toda
tuney dekha aur munh moda
badal garja thoda-thoda
pani barsa
ye dil tarsa
par jab beeta thoda arsa
mainey rona chod diya!
Lyrics freelancing on the sound scapes do manage to impress few souls :)
ReplyDeletePrashanth