Wednesday, 20 November 2019

Adhure Ishq ki dastaan


Woh waqt bhi aur tha 
Woh daur bhi aur tha
Khwahishein poori hongi, yeh vishwaas tha

Tasveeron ka kaafila aankhon ke saamne se guzar gaya
Yaadein slideshow bankar guzri.

Har frame mein ek-ek pal tham sa gya
Kuchh pal dil bhi thama

Usme ek chehra saamne aaya

Yaadon ki baadh aayi aur main beh gayi 
unhi haseen lamhon mein

Lamhe bade meethe the, kuchh namkeen,
Yaadon ki baadh mein main beh gayi usme

Woh lamha hai ab bhi qaid!
Aankhon ko ab bhi hain sukoon hai deta,
Jab bhi yaad aata hai woh pehla lamha jab hum mile
Woh shirt ki khushboo, woh mehek, woh muskurahat,
Wo ankhon ka pehli baar milna,
Jaise kuchh bayaan kar rahe the.

Woh thame hue se kuchh pal,
Wo har muskurahat par dhadkano ka ruk jaana,
Baar-baar dil ishaare de raha tha: kuchh toh baat hai usme!

Milne ke hamare wo silsile,
Wo haseen afsaane, 
Wo bheege pal,
Lamhe yunhi tham gaye mere liye.

Waqt guzarta gaya, 
Sheher badal gaye, 
Dooriyan bhi aa gayi.

Par wo coffee shop, wo saanjh, 
wo baatein, wo raatein wahi tham gayi.

Bas reh gayi hain unn dino ki yaadein, 
Wo khaas lamhe, wo ehsaas, 
kuch ankahe lafz, kuchh adhuri baatein,

Aur Hum!

2 comments: