Ek waqt tha jab main tumhara naam chahti thi,
Ek waqt tha jab main tumhari hona chahti thi,
Ek waqt tha jab main bahot kuchh chahti thi,
Meri kuchh khwahishein thi, sapne the,
Kuchh banne ka khwaab tha,
Bas woh bahot kuchh kahin ghum ho gaya,
Yahi sochti reh gayi ki kahan kho gaya,
Jab kaanch tootta hai toh har jagah awaaz goonjti hai,
Par jab khwaab aur dil tootte hain, toh sirf rooh ko pata lagta hain
Khwaab, dil aur rooh barbaad huye,
Bura waqt saaye ki tarah mandraata raha,
Sabne kaha ki bura waqt dhal jaayega,
Par ye nahi kaha ki yahi waqt muskurahat bhi cheen legi.
Tumne kaha tha ki tum meri kismat badal doge,
Par iss tarah se, ye nahi maloom tha!
deep
ReplyDeleteYes...personal too!
DeleteQuite deep and written from core of heart.
ReplyDeleteWo khwaab hi kya jisse paane ki tadap naa ho, wo khwaab hi kya jisse pura kiye bina hum alvida ho...
thanks a ton for appreciating my poem!
Delete