Tuesday 5 May 2020

Lockdown Diaries: Kuchh band kisse

Din jaise jaise nikale,
Waise ek bandi hone ka ehsaas hua
Chaaron taraf band khidkiyaan, 
sunsaan raaste
Hawayein chal rahi thi, patte bhi gire pedon se,
Maidaano mein char rahe kuch jaanwar,
Chidiyan chehek rahe the,
Motor gaadiyon ki shor mein ghul gaye the,
Aaj sabhi jeev zinda ho gaye, 

Band darwaaze halke se khule,
Kuchh chehre kabhi jhankte huye bahar
Kahin ankhon mein aas thi, kuch mein bebasi,
Kuchh mein khushiyan bhi thi shaamil,
Khushiyan jaise garmi ki chuttiyan aa gayi
Ghar mein khel kood, FM par gaane bajana,
TV par Mahabharat aur Ramayan ka laut aana,
Wahi chutkule, wahi kehkahe, wahi masti ki leher 
Bachpan ke din laut aaye!

No comments:

Post a Comment