Monday, 3 May 2021

Ghar ki Pari

निरागस सी हंसी उसकी,

मुस्कान बच्चों जैसी,

आँखों में ख़ुशी यूं छलकती.


होठों पर हल्की मुस्कान,

बातों में थी एक कशिश,

इस लड़की की बात थी अलग.

जहाँ वो जाती है, खुशियों की लहर बहती है,

लोग जाम उठाना भूल जाते हैं,

और वो यूँही चल देती,

नज़रें उसपे ही टिकी थी सबकी।


घर की जान थी वो,

पापा की शान, माँ की दुलारी,

कदम नहीं थकते उसके,

राज़ की बात बताओ वो कौन है?

वो हो तुम - घर की परी!


Monday, 12 April 2021

Chai aur Yaadein

Aaj phir tum mujhe yaad aaye,
Tumhari hasi,
Wo haathon mein haath lena,
Wo kandhon pe haath rakhna,
Wo sab yaad aaya aaj!

Tumhara wo daantna,
Naraaz hona, 
Hanskar fir se gale lagana,
Wo sab yaad aaya aaj!

Baadalon ka garajna,
Baarish ho rahi hai, aao chai piye, kehkar bulana,
Tapri par geele hokar garam chai peena,
Aaj phir tum mujhe yaad aaye!

Mausam badle, rituen badli,
Tum nahi badle,
Wahi muskurahat wahi chai,
wahi tapri aur Tum!!

Wednesday, 7 April 2021

Beparwaah


Na wo toot saki,
Na wo bikhar saki,
Aandhi ho ya toofan,
Phir bhi khadi rahi wo!

Chup-chaap, andhere mein,
Diye ki baati jaisi jalti rahi,
Phir bhi khadi rahi wo.

Mausam badle,
Uski chuppi nahi tooti,
Phir bhi khadi rahi wo.

Ilzaam khoob lage,
Aansu ki baarish bhi hui,
Phir bhi khadi rahi wo,

Chup-chaap bas khadi rahi wo!

Us haq ke liye ladti rahi,
Par ansuni kar di awaaz uski,
Dab gayi ek kone mein wo.

Waqt guzra,
Awaaz band hui,
Shor band hua,
Aansu tham gaye.

Chup-chaap ek raah chuni,
Mudkar nahi dekha,
Bas chalti rahi wo - beparwaah!

Thursday, 1 April 2021

Dil ki baatein...kuchh alfaaz (Couplets)

Tha wo anjaan nahi, 
Tha wo dost bhi nahi,
Fir bhi ek kashish thi jo kheench leti uski taraf!
Khushboo zehan se na gayi,
Reh gayi uski muskurahat,
Khilkhilata hua chehra,
Jo dil mein reh gaya!

Duaon mein hamne tumhe yaad kiya,
Khush raho, yahi dua denge tumhe, 
Raaste hamare na takraaye bas yahi dua karna
Nahi toh 206 haddiyan hai, 
Kahi wo bhi gum na ho jaayein!


Pooch hi lete wo sawaal,
Aisa bhi kya sharmaana,
Ya toh haami hoti ya toh inkaar!


Shukriya karte karte, wo nikal gayi,
Bas reh gaye wo lafz, jo dil ko chhu gaye
Khayaal unka aya, yaadein bhi hui taaza,
Bas zubaan pe unka naam na aaya!


Kuch apna gham, kuch zamaane ne diye gham,
Bas kalam se lafz nikle, 
Aur kuchh dil ki awaaz nikli!


Aaj mehfil jami hai doston ki,
Arsa hua ki dil ki baatein hui,
Kuchh keh kahe aur kuchh kisse nirale,
Kuch thahakon mein mehfil jam gayi!

Aao dil ki baatein karein,
Haal-e-dil bayaan karein,
Aise hi mehfil jami rahein!

Khoobsurat ye lafz aapke,
Fida ho jaaye koi aap pe
Nazron ki kya zarurat,
Aapke lafz hi dil chura le!

Gulaab par pair toh rakho,
Kannte khud ba khud bikhar jayengi
Bas pair rakhne ki der hai!


Izzat dena koi aapse seekhe,
Maano itr gire ho labon se
aur gulaabon ki barsaat hui ho!

Dil ki ye tamanna hai 
Aaj koi dil ka izhar kare
Ek haath mein ho gulaab,
Aur sanitizer dusre haath mein!


Aaj kisi ko propose karne ka man ho raha hai...
Par Corona ne bola: aaj Karo na🤪

Thursday, 18 February 2021

Ishq

Nazrein bhi milengi,
Ishq bhi barsega,
Afsaane likhenge hum,
Jab jab seher hogi!


Monday, 5 October 2020

Zindagi


Jitni asaan lagti hai tu, ae-zindagi,

Utni hi uljhi hui si hai tu||

Jab bhi aankhein band karti hoon,

Tujhe muskurata hua dekhti hoon ||

Saari mushkilein aasaan lagti hain,

Gham kahin gum ho jaata hai||

Pal mein roothe bhi tu, pal mein mana bhi le,  

Aisi hai tu||🤗

Ae zindagi, tu kabhi saath na chodna mera!!


Monday, 14 September 2020

Lockdown Diaries: Kuchh aur naye band kisse


Chaaron taraf band khidkiyaan, sunsaan raaste,
Hawayein chal rahi thi, patte bhi gire pedon se,
Maidaano mein char rahe kuch jaanwar,
Chidiyan chehek rahe the.

Jo awaazein kabhi motor ki shor mein ghul gaye the,
aaj sabhi zinda huye.
Band gharon mein jaan aayi,
Bachchon ki shorgul, cooker ki seetiyan,
Kahin thahakon ki awaaz goonji.
Chai ke pyaale, puraane gupshup aur naashte ki mehek har jagah chhayi.

Khidkiyon se jhaankte huye kuchh chehre, 
Ankhon mein aas lagaye baithe, 
Kab ye virus chala jaaye, kab hum azaad panchhi ho
Bebasi ki leher mein ummeed bhi thi shaamil.

Bachhon ki khushiyan jaise garmi ki chuttiyan aa gayi,
Ghar mein khel kood, FM par gaane,
TV par Mahabharat aur Ramayan ka laut aana,
Wahi chutkule, wahi kehkahe, wahi masti ki leher 
Wah! Bachpan ke din laut aaye!

Par iss baar chuttiyan lambi lagti hain,
Mann mein khushi bhi, asmanjas bhi,
Ghar mein surakshit raho, virus se bachke raho: yahi naara hai desh ka!

Khushiyan fir se laut aayengi, ummeed hai ye waqt bhi chala jayega,
Aur hum kuchh naye band kisse aur likh paaye!

Saturday, 25 July 2020

Ishq-e-baarish

Mann bheegna chaahe, 
Mann bhaagna chaahe,
Iss baarish mein uske saath naachna chaahe,
Mann toh bachha hai,
khelna chaahe,
Aaj bas baras jaa tu, baadal,
Bas ishq karna chaahe!

Sunday, 28 June 2020

Aks

Khwaabon mein tum aaye aaj bhi,
Khush misaaj lag rahe the tum,

Yunhi muskurakar tumne kaha mujhse: 

Aaj bhi tum mere dil mein ho!
Mudkar dekha toh aaina tha,

Aks ko dekhkar muskurakar maine bhi kaha:
Mohabbat toh aaj bhi hai tumse! 

Monday, 15 June 2020

Afsaana

Afsaana thi ya koi bala,
Ishq ho gaya hamein usse,
Chahat ban gayi thi woh.

Khoobsoorat the nain-naksh,
Dil par chhap gayi thi woh

Bas ek khata hui dil-e-nadaan se,
Aur ishq na kar saki woh